Bismillahir
Rahmanir Raheem
Wal
fajr, walayalil ashr , walshafi’i walwatr wallaili izaa yasr , Hal fii zaalika
qasamullazi hijr , (suraAlFajr Aayat 1-5)
Hazraat!
Ulamae kiraam, Buzurgaan e Mohtaram Aur Biraderan e Azeez !!
Assalamo Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu
Jaisa ke guzishta ijtema'a me yeh arz kiya gaya tha is majlis ka asal maqsad
yeh hai keh ham log baith kar apne halat ka jayeza len
aur marne k ba'ad aane wali zindagi ki tayyari ke
liye islaah ki fikr karen.
yahan na koi ustad hai na shagird, na moallim hai
na muta'allim hai na muslih hai aur na
zer e islaah balke ham sab ek hi kashti ke sawaar hain aur ham sab ek hi manzil
ke baare me baith kar kuchh soch bichaar kar len, us ke liye kya tayari karni
hai? kya kar sakte hain? aur kya nahin kar sakte ? bahmi muzakeraat ki barkat
se Allah Ta'ala dilon me fikr o bedaari paida farma dete hain. chunanche isii
fikr ke paida karne ke liye yeh ijtema'a munaqid kiya gaya hai Allah Ta'ala ham
sab ko is ki barkaat ataa farmayen aameen
Ek
Waqti Mutalebah :=
Islaah e Nafs aur aakhirat ki tayyari ke liye
Deen ke ahkamaat o ta'aleemaat be shumar hain aur insha Allah raftah raftah
mukhtalif maozooaat saamne aate rahen ge..Lekin is waqt khayal aaya keh ek
waqti mutalebah hai us ke baare me kuchh guzareshaat arz kar doon. woh
mutalebah yeh hai keh ek do din ke ba'ad Zilhajjah ka mubarak maheena shuru
hone wala hai aur Allah ta'ala ne is maheene ko mukhtalif imtiyazaat bakhshe
hain,
Jin se
muta'alliq is ke kuchh ahkamat o ta'aleemat maujood hain to khayal aaya keh un
se muta'alliq kuchh guzarishaat pesh kar di jayen ,kyun keh mere shaikh hazrat
doctor Abdul Hayi Aarfi Qudusullah sirrahu farmaya karte the keh deen waqt ke
taqaze par amal karne ka naam hai keh is waqt mujh se deen ka taqazah aur motalebah
kya hai Aadmi agar isii waqti taqaze par amal kare to isee ka naam deen hai.
LOGON
KI HALAT AUR ISLAH KA BEHTREEN NUSKHAH :=
Ek baat yaad
aayee keh mere dost Shaikh Hazrat Maseehullah Khan Sahab Qaddasallah sirrahu ne
ek bade kaam ki baat irshaad farmayee.
Log isee wajah se Islaah nahin kar pate keh woh maazii
ke gham ya mustaqbil ki fikr me pade rahte hain aur isii gham o fikr ki wajah
se haal ko nazar andaaz kar dete hain.. log is gham me rahte hain keh hamari
guzishta zindagi badee kharab ,museebaton aur Allah ki nafarmani me guzree aur
Mayus ho jate hain aur mustaqbil ki fikr hai keh aayendah kya hoga ?
is ke andeshe aur fikr ko apni jaan ka
wazeefah bana liya , nateeja yeh hai keh haal yani maujoodah waqt me kaam karna
bhool gaye. unhon ne farmaya keh
“ Islaah ka
behtreen tareeqa yeh hai keh maazii aur mustaqbil ki fikr chhod kar haal ki
fikr karo. Maazii me jo kuchh hua ,use bhool kar ek martabah Allah ki baargaah
me aa kar arz kardo keh Aye Allah ! me ne jitne bhi gunaah kiye hain unhen
Mua'af farma de... Astaghfirullahu min Kulli Zanbiw wa Atubu Ilaihi maazii ka
hisaab to is tarah bebaq karo aur mustaqbil ki fikr me pade baghair haal ki
fikr karo keh is waqt deen ka tum se kya mutalebah hai , bass uski fikr kar lo
to tumhara maazii aur mustaqbil dono durust ho jayen ge. Jab tum haal ki fikr
karo geto yeh tumhare liye maazii ban jaye ga aur mustaqbil rafta rafta haal
banta jaye ga. yeh aisi ajeeb o ghareeb baat hai keh jis ki barkat amal karte
waqt zahir hogi. lihazah hamen chahiye keh haal ki fikr karen maazii aur
mustaqbil ki fikr me ise barbaad na karen. In sha Allah haal ki fikr se maazii aur
mustaqbil apne waqti taqaze ke mutabiq hal hote jayen ge. Isii hawale se is
waqt Zilhajj ke waqti mutalebah ke tahet is ke ahkamaat bayan kiye jayen ge
Agarcheh keh baaten wahi hain jo ham ne sun rakhi hain aur hamen ma'aloom bhi
hain
Lekin sun lena aur ma'aloom hona alag cheez hai jab
ke amal karna dusri cheez hai, ba'az auqaat insaan ko koi baat ma'aloom hoti
hai lekin us ki taraf amal ke lihaaz se tawajjuh nahin jati. To is tarah Allah ke fazl o karam se umeed hai
keh in sha Allah yeh muzakerah kaamyaab ho ga