Isi tarah Qurbani hai keh Allah Ta'ala ne saal bhar me teen
din makhsoos farmaye hain. 10, 11, 12 ZillHajjah-- in teen dino ke ilawah agar
aap qurbaani karna chahen to Allah Ta'ala ke yahan us ki koi qadr o qeemat
nahin. Kyu keh Qurbaani naam hai kisee janwar ke gale par
Allah ki raza ke liye chhuri pherna . Idhar aap ne janwar ke gale par chhuri
pheri aur udhar Qurbani ka fareezah adaa hua. Lekin agar aap aaj qurbani karen
to ek nahin ,100 janwar zubah karlen to woh qurbani ki ibaadat nahin hogi kyu
keh yeh aisi Ibaadat hai jo Zillhajjah ke makhsoos ayyam ke ilawah adaa ki hi
nahin ja sakti.. Asal sawab Allah ke Hukm aur Sunnat e Nabawee Sallallahu
Alaihi wasallam me hai. Maqsad yeh hai keh kisee bhi amal me apni zaat me kuchh
nahin rakha, jo kuchh hai Alalh ke hukm aur hamare Nabi e Akram Sallallahu
Alaihi wasallam ki Sunnat me hai . Jab kisi bhi amal ke saath Allah Ta'ala ka
hukm pewasta ho jaye to woh amal ibaadat ban jata hai aur moajjib e ajr o sawab
ban jaye ga aur Allah Ta'ala ka hukm us se hat jaye to ab us ki koi qadr o
qeemat nahi. Arafat ke maidan par Allah Ta'ala ki rahmaten nazil hoti hain aur
wahan jakar wuqoof karne walon ko jo sawaab milta hai, woh dar haqeeqat is
maidan ke zarrat ,pahadiyon, sehraa ki ret, aur un patharon ki wajahse nahin ,
balkeh jo kuch bhi ajr o sawaab hai woh sirf Allah ke hukm ka hai.. Allah
Ta'ala ne farmaya keh 10,11 ,12,Zillhajjah ko janwar ke gale par chhuri pherna
aur qurbaani karna moajjib e ajr o sawaab hai to aaj yeh amal Allah ka mehboob
ban gaya, Aisa mehboob keh aaj ke din yani yaum un Nahr me khoon bahane ke alawah
koi mehboob mashgilah nahin. Lekin wahi qurbani aam din me karte to uska koi
nateejah nahin. Batlana dar haqeeqat yeh hai keh kisee bhi ibaadat me aur kisee
bhi kaam me apni zaat me koi taqaddus nahin, taqaddus us waqt aata hai , jab
Allah ka hukm ho, Goya yeh ek sabaq hai jis me bid 'at kharabi paida karti hai
Bid’at us kaam ka naam hai jo aap az khood ghad kar ibadat bana len us ko na
Allah ne ibadat qarar diya ho na Rasool Sallallahu alaihi wasallam ne.
No comments:
Post a Comment