Zilhajj
ke maheene ki kuchh khusoosiyaat hain aur kuchh aisii ibadaat is maheene me muqarrar
farmayee gayeen hain jo saare saal me adaa nahin ki saktin jab keh dusri ibadaton
ka haal yeh hai keh woh waqt e moqarrarah me to adaa ki hi jayen gi ,lekin agar
woh waqt e moqarrarah k alawah nafli taur par adaa ki jayen to aisa kiya ja sakta
hai maslan farz namaz ke paanch auqaat muqarrar hain lekin agar nafli taur par
koi shakhs ada karna chahe to kar sakta hai. zakaat saal me ek martabah farz
hai lekin nafli sadqah aam dino me bhi diya ja sakta hai. balkeh karna chahiye.
Aise hi roze hain keh saal bhar me sirf ramzaan k maheene me farz hain baqi
nafli roze rakhe ja sakte hain lekin Zilhajja k maheene me do 2 ibadaten aisii
hain jo is maheene k
makhsoos
ayyam ke ilawah kisi aur din adaa nahin ki jasakteen. Ek to hajj ki Ibadat aur doosrey
Qurbani ki Ibadat.
HAJ SE MUTA’ALLIQ AHKAMAAT :-
Haj Zillhajjah ki muta'ayyin tareekhon hi me
adaa kiya ja sakta hai Warna Arafat ka maidaan to aaj bhi waise hi apni aaghosh
khole hue hai aur Mina me Jamraat to aaj bhi maujood hain. Lekin agar aaj koi
shakhs Arafat me ek din nahin do din bhi wuqoof kare to Allah Ta'ala ke yahan is ki Koi Qadr o
Qeemat nahi aur agar koi 9 Zillhajjah ko Maidan e Arafat me pahunch jaye ya 10
Zillhajjah ki Raat ko pahunch jaye to uska Hajj ho gaya. Allah ki Rahmat ka
saya us maidaan me aisa phaila hua hai ke Shaitaan poorey saal me is din se
zyada kisi aur din me ruswa nahin hota aur wuqoof me yeh bhi zaroori nahi ke poora din wuqoof
kiya jaye balkeh agar koi shakhs is din ek minute k liye bhi pahunch jaye to
uska Hajj ho gaya hatta keh agar koi sota hua bhi guzar jaye to uska Hajj bhi
adaa ho jayega lekin agar yahi Ibaadat saal ke doosray dinon me ki jaye to uski
koi qadr o qeemat nahi
No comments:
Post a Comment