BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM
NAHMADUHU WA NUSALLAI ALAA RASOOLIL
KAREEM
HAJJATUL WADAA’ 10 HIJRI
Haj ki Farziyat kis saal hui ? Isme
Mukhtalif Aqwaal hain. Imam Azam Abu Haneefah rahmatullahi alaih ne 10 Hijri me haj ki Farziyat wale Qaul ko
Tarjeeh di hai ke Agar isse Qabl farz hota to Huzoor sallallahu alaihi wasallam
uski adaaigi me Taakheer na farmate. Imam Ibne Qayyim rah ne isi Qaul ko
tarjeeh di hai.(ZAADUL MUAAD 3/595)
Haj Par Rawangi Ke Liye Aelaan E Aam:-
Huzoor
sallallahu alaihi wasallam ne 10 Hijri me Safar e Haj ka irada farmaya aur aam
Aelaan kara diya. Madine ke Atraaf se bhi Jaanisaron ke aafile Ap sallallahu
alaihi wasallam ki Rifaqt me Haj karne ke liye Madina Tayyibah pohancha gaye.
Unki Ta’dad bhot Ziada thi. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Rawangi se
Qabl Madina Tayyiba ke intezaami Umoor Hazrat
Abu Dujana Saa’adi razi Allahu anhu ko Qayem Maqaam muqarrar farmaya. Ek
riwayat me Hazrat Sibaa’ Bin ‘Urfatah
razi Allahu anhu ka naam aaya hai.(Seerat Ibne Hisham 4/23)
Madine Tayyibah se Rawangi:-
25
Zil Qaedah 10 Hijri ko Huzoor sallallahu alaihi wasallam Madine Tayyibah se HAJ
ke safar par rawana hue. Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu anhuma farmate hain ke
Jab Ap sallallahu alaihi wasallam rawana hue to Zii Qaedah ke 5 Din Baaqi the.(Bukhari
Shareef)
Huzoor
sallallahu alaihi wasallam ne Namaz e Zohr ki 4 Rak’aat Madine Tayyibah me ada
farmayi. Phir Ap sallallahu alaihi wasallam ne baalonko sanwara, tel lagaya.
Zul Hulaifah me Qiyaam :-
Zohar
o Asar ke darmiyan Ap sallallahu alaihi wasallam Madine Tayyibah se rawana hue
. Zul Hulaifah (jisko Abyaar e A’alaa kaha jata hai) pohanch kar Namaz e Asar
Qasran yani 2 Rak’aat ada farmayi. Phir wahin Qiyaam farmaya aur raat ko bhi
wahin muqeem rahe(Bukhari Shareef 1/190, Zaadul Muaad 2/106)
Ap
sallallahu alaihi wasallam ne Maghrib aur Ishaa aur agle din ki Fajar o Zohar
ki namazen bhi Zul Hulaifah me hi ada farmayin is safar me tamam Azwaaj e
Mutahahraat razi Allahu anhunna bhi Ap sallallahu alaihi wasallam ke sath thin.
Ahraam ke liye Ghusl :-
Jame’
Tirmizi me hai ke Jab Ap sallallahu alaihi wasallam ne Ahraam baandhne ka
iradah farmaya to GHUSL kiya.(Tirmizi Baab Maa Jaa’aa fi ightisaali indal
Ihraam) Jab Ap sallallahu alaihi wasallam ne GHUSL farma liya to Hazrat Ayesha
razi Allahu anha ne Ap sallallahu alaihi wasallam ke Jism Mubarak aur Sar par
KHUSHBOO lagayi jiska Asar Ap sallallahu alaihi wasallam ke Sar ke Baalon aur
Dadhi Mubarak par nazar aaraha tha, ye Khushboo MUSHK aur Zareerah thi.(MUSLIM,
BAIHAQI)
QURABANI KE JANWARON PAR ALAMAT LAGANA:-
Is
ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne HADII ke Janwaron ke gallon me
Qalladey dale, Oonton ki Kohanon ko daayen jaanib se zarasa Shaq kar ke jo
Khoon nikla wahin mal diya jisko ASH’AAR kehte hain yani is baat ki alamat ke
ye Qurbani ke janwar hain.(Saheeh Muslim baab Taqleedul hadii wa Ash’aarihi
Indal Ihraam)
AHRAAM AUR TALBIYAH:-
Uske
baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 2Rak’aat Ahraam ke nafil ada
farmaye.(ZARQANI 145/8)
Uske baad Ap apni sawari par baithe
aur Qible ki taraf rukh kar ke TALBIYAH
padha jiske alfaz mandarjah zail hain:
لبيك اللهم لبيك، لبيك لا شريك لك لبيك، اِن الحمد والنعمة لك والملك
لا شريك لك
LABBAIK ALLAHUMMA LABBAIK , LABBAIK LAA SHAREEKA
LAKA LABBAIK , INNAL HAMDA WAN NI’MATA LAKA WAL MULKA LAA SHAREEKA LAK.
(BUKHARI O NASAI BAAB KAIFIYATUT TALBIYAH)
Tarjuma:-
Mai Haazir hun Aye Allah ! Mai Haazir hun, tera koi
Shareek nahi mai Teri baargah me Haazir hun, Beshak Tamam tareefen tere hi liye
hain , Nemat aur badshahat bhi Teri hai Tera koi Shareek nahi.
Zara TALBIYAH ke Alfaaz o Ma’aani par ghaur karen to maloom hota hia ke
Insan TAUHEED ke Samundar me Ghauta laga raha hai. Ap sallallahu alaihi
wasallam ne Buland Awaaz se TALBIYAH padha aur Sahaba razi Allahu anhum ko bhi
yahi Hukum farmaya ke Talbiyah Oonchi Awaaz se padhen. Huzoor Aqdas sallallahu
alaihi wasallam ne Ahraam ke Nafil ke
Baad TALBIYAH padha. Phir sawari par Baith kar bhi Talbiyah padha. Phir jab Ap
sallallahu alaihi wasallam rawana hue aur Maqaam BAIDAA’ par pohanche to Ap
sallallahu alaihi wasallam ne TALBIYAH padha. Riwayat karne wale Sahaba me se
jisne Jis waqt Ap sallallahu alaihi wasallam ki Zubaan Mubarak se Talbiyah
Shuna usko naqal kardiya. Ahle Ilm ne ye Tafseel likhi hai.
No comments:
Post a Comment