Sunday, 15 September 2013

Mujhe ZINAA ki Ijazat dijye

Hazrat Abu Umamah Razi Allahu anhu se marwi hai:

Ek Naujawan Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki Khidmat me Haazir hua. Us Naujawan ne Arz kiya:
“Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam Mujhe ZINAA ki Ijazat dijye”
Ispar Haazireen e Majlis usey Bura Bhala kehne aur Khamoosh karane lagey, Lekin Ap sallallahu alaihi wasallam ne use Qareeb aane ke liye kaha , Chunanche wo Ap sallallahu alaihi wasallam ke Qareeb aakar baith gaya. Huzoor sallallahu alaihi wasallam aur uske Darmiyan darj e zail Mukaalma hua:
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Kya Tum ye baat apni Waledah ke liya pasand karte ho?
Naujawan: meri Jaan Ap par Qurban. Khuda ki Qasam nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi Apni Maaon ke liye ye Baat pasand nahi karte.
Kya Ye baat Tum apni BETI ke liye pasand karte ho?
Naujawan: Ya Rasoolallah s.a.w! Meri Jaan Ap par Qurban ho. Hargiz nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi Apni Betiyon ke liye Ye baat pasand nahi karte.
Kya Tumhe Ye baat Apni Bahen ke liye pasand hia?
Naujawan: Meri Jaan Ap par Fida ho . khuda ki Qasam Hargiz nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi apni Behno ke liye Ye baat pasand nahi karte.
Kya tum ye baat apni Phoophi ke liye pasand karte ho?
Naujawaan: Meri Jaan ap par Qurban. Khuda ki Qasam ! Hargiz nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi apni Phoophiyon  ke liye Ye baat pasand nahi karte.
Kya tum ye baat apni KHAALA ke liye pasand karte ho?
Naujawan: meri Jaan Ap par Fida. Khuda ki Qasam ! Hargiz nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi apni Khaalaaon  ke liye Ye baat pasand nahi karte.
Uske baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne unke Seene par apna Dast Mubarak rakha aur Dua farmayi:
          “Aye Allah is ke Gunah maaf farmadijye, iske Dil ko PAAK kardijye aur iski SHARMGAAH ki Hifazat farmayye.”
Uske baad Wo Naujawan kisi Ghalat taraf Tawajjoh na karte the.
[MUSNAD AHMED HADEES NO 22211]



Sunday, 8 September 2013

MINA ME NAMAZ KA HUKM

Jin hazraat ko Hajj par jaane ka mauqa mila hai to woh jante hi hain aur jin ko haazri ka mauqa nahin mila , unhon ne bhi shayed suna hoga keh Haaji hazraat 8 Zillhajjah ko Makkah Mukarramah se rawana ho kar Mina chale jate hain. aur Mina me jane ke ba'ad koi kaam nahin .na Rami hai na Manasik e Hajj me se koi rukn adaa karna hai,balkeh Zohar se le kar agli fajr samet 5 Namazen Mina me adaa karo. Kitni achi baat thi keh Makkah Mukarramah me rah rahe the aur Namazen Masjid e Haram me padh rahe the keh jis me ek namaz padhne ka sawaab ek laakh (100000) Namazon ke sawaab ke barabar hai, Lekin hukm hua keh Masjid e Haram aur us me Namaz padh kar Ek laakh namazon ka sawaab chord kar Mina ki wadi me muqeem ho jao, jahan sirf 5 Namazen padhni hain. is se yeh SABAQ sikhana maqsood hai keh kaheen tumhare zahen me yeh baat na baith jaye keh Masjid e Haram ke patharon me kuchh rakha hai. balkeh jo kuchh hai woh hamare hukm aur hamare Nabi Hazrat Mohammed Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat me hai. Agar  koi shakhs kahe keh me ek laakh Namazon ka sawaab chord kar nahin ja sakta to ek lakh to kaja, ek namaz ka bhi sawab nahin mile ga . Isliye keh khilafe Sunnat kaam kar raha hai.

Friday, 6 September 2013

QURBANI KA HUKM



          Isi tarah Qurbani hai keh Allah Ta'ala ne saal bhar me teen din makhsoos farmaye hain. 10, 11, 12 ZillHajjah-- in teen dino ke ilawah agar aap qurbaani karna chahen to Allah Ta'ala ke yahan us ki koi qadr o qeemat nahin.  Kyu  keh Qurbaani naam hai kisee janwar ke gale par Allah ki raza ke liye chhuri pherna . Idhar aap ne janwar ke gale par chhuri pheri aur udhar Qurbani ka fareezah adaa hua. Lekin agar aap aaj qurbani karen to ek nahin ,100 janwar zubah karlen to woh qurbani ki ibaadat nahin hogi kyu keh yeh aisi Ibaadat hai jo Zillhajjah ke makhsoos ayyam ke ilawah adaa ki hi nahin ja sakti.. Asal sawab Allah ke Hukm aur Sunnat e Nabawee Sallallahu Alaihi wasallam me hai. Maqsad yeh hai keh kisee bhi amal me apni zaat me kuchh nahin rakha, jo kuchh hai Alalh ke hukm aur hamare Nabi e Akram Sallallahu Alaihi wasallam ki Sunnat me hai . Jab kisi bhi amal ke saath Allah Ta'ala ka hukm pewasta ho jaye to woh amal ibaadat ban jata hai aur moajjib e ajr o sawab ban jaye ga aur Allah Ta'ala ka hukm us se hat jaye to ab us ki koi qadr o qeemat nahi. Arafat ke maidan par Allah Ta'ala ki rahmaten nazil hoti hain aur wahan jakar wuqoof karne walon ko jo sawaab milta hai, woh dar haqeeqat is maidan ke zarrat ,pahadiyon, sehraa ki ret, aur un patharon ki wajahse nahin , balkeh jo kuch bhi ajr o sawaab hai woh sirf Allah ke hukm ka hai.. Allah Ta'ala ne farmaya keh 10,11 ,12,Zillhajjah ko janwar ke gale par chhuri pherna aur qurbaani karna moajjib e ajr o sawaab hai to aaj yeh amal Allah ka mehboob ban gaya, Aisa mehboob keh aaj ke din yani yaum un Nahr me khoon bahane ke alawah koi mehboob mashgilah nahin. Lekin wahi qurbani aam din me karte to uska koi nateejah nahin. Batlana dar haqeeqat yeh hai keh kisee bhi ibaadat me aur kisee bhi kaam me apni zaat me koi taqaddus nahin, taqaddus us waqt aata hai , jab Allah ka hukm ho, Goya yeh ek sabaq hai jis me bid 'at kharabi paida karti hai Bid’at us kaam ka naam hai jo aap az khood ghad kar ibadat bana len us ko na Allah ne ibadat qarar diya ho na Rasool Sallallahu alaihi wasallam ne.

Wednesday, 4 September 2013

HAMARA KHULA DUSHMAN


Aj ummat Maslaki Ikhtelaaf me ghiri hui hai aur Ek Doosre ko Apna Dushman samajh baithi hai aur hamare dimagh me bhi ayhi baat daali jaa rahi hai. Aj Musalman ek Doosre ko Khud ka Dushman samajh baithe hain aur apni Saari Salahiyaten isi me sarf kar rahe hain aur Haqeeqi Dushman ko Bhool gaye. Yahan Sirf Mai Quran e Kareem ki Chand aayaton se Batlana chah raha hu ke Hamara Haqeeqi Dushman kaun hai. Allah kare baat hamare samajh aajaye. (Aameen)
Allah Ta’ala ka Irshaad hai
Quran:
1.     Aye logo! Zameen me jo Halaal paakeezah cheezen hai wo Khaao aur SHAITAAN ke Naqsh e Qadam par na Chalo. Yaqeen Jaano ke wo Tumhare liye ek Khula Dushmna hai.
(Surah Baqara 168)
2.     Aye Imaan Walo ! Islaam me poore ke poore Daakhil ho jaao, aur SHAITAAN ke Naqsh e Qadam par na chalo. Yaqeen jaano wo tumhara Khula Dushman hai.
(Surah Baqara 208)
3.     Aur Chaupaayo me se Allah ne wo Jaanwar bhi paida kiye hain jo Bojh uthate hain aur wo bhi jo Zameen se lage hue hote hain. Allah ne jo Rizq tumhe diya hai usme se Khaao aur SHAITAN ke Naqshe Qadam par na chalo . yaqeen jaano wo Tumhare liye ek Khula Dushman hai.
(Surah An’aam 142)
4.     (Adam alaihis salaam aur Hawwa alaihas salam ka jannat ke mamnoo’aa darakht se istefada karne ka zikr karne ke baad farmaya) … aur Unke parwardigaar ne unhe aawaaz di ke: “Kya Maine Tum dono ko us Darakht se roka nahi tha, aur tum se ye nahi kaha tha ke SHAITAAN tum dono ka KHULAA DUSHMAN hai.”
(Surah A’raaf 22)
5.     (Hazrat yaqoob Alaihis Salaam ne Hazrat Yousuf  alaihis salam ko naseehat farmayi) Unho ne kaha: “Beta! Apna ye Khwab apne Bahiyon ko na batana kahin aisa na ho ke wo tumhare liye koi Sazish tayyar karen, kyu ke SHAITAAN Insaan ka Khula Dushman hai.”
(Surah yousuf 5)
6.     Aur wo Waqt Yaad karo, jab Humne Farishto se kaha tha ke :
“ Aadam ke aage SAJDA karo”. Chunanche Sab ne Sajda kiya siwaye IBLEES ke . wo Jinnaat me se tha, Chunanche usne apne RABB ke Hukum ki nafarmani ki. Kya phir bhi tum Mere bajaye usey aur Uski Zurriyat ko apna Rakhwala banate ho haalan ke Wo Sab Tumhare DUSHMAN hain? (Allah Ta’ala ka) kitna bura mutbaadil hai jo Zaalimon ko mila hai!.
(Surah Kahf 50)
7.     Yaad karo wo Waqt jab Humne Farishton se kaha tha ke Aadam ko Sajdah karo, chunanche Sab ne Sajdah kiya albatta IBLEES tha jisne Inkaar kiya. Chunanche Humne kaha ke : “Aye Adam ! ye tumhara aur tumhari BIWI ka DUSHMAN hai lihaza aisa na ho ke ye tum dono ko Jannat se nikalwa de aur tum mashaqqat me pad jaao.”
(surah Taaha 117)
8.     Aur (ek din) wo Shahar me aise waqt daakhil hue jab uske Baashindey Ghaflat me the to unho ne dekha ke wahan 2 Aadmi lad rahe hain , ek to unki apni Bradari ka tha aur Doosra unki Qaum ka. Ab jo Shakhs un ki Bradari ka tha usne Unhe unki Dushman Qaum ke aadmi ke muqabale me madad ke liye pukara, us par MOosa(alaihis salam) ne usko ek Mukka maara jis ne uska kaam tamam kar diya. (phir) unho ne (pachta kar) kaha ke: “Ye to Koi SHAITAAN ki Kaarwai hai. Haqeeqat ye hai ke woh ek khula Dushman hai jo Ghalat Raaste par daal deta hai.”
(Surah Qasas 15)
9.     Yaqeen jaano ke SHAITAANtumhara DUSHMAN hai, is liye Usko Dushman hi Samajhte raho. Wo to apne maanne walon ko jo Dawat deta hai wo isliye deta hai take Who Dozaq ke baasi ban jayen.
(Surah Faatir 6)
10.                        Aye Adam ke Beto ! Kya Maine tumhe ye Takeed nahi kardi thi ke Tum SHAITAN ki Ibadat na karna wo tumhara Khulaa  DUSHMAN hai.
(Surah yasseen 60)
11.                        Aur aisa hargiz na hone paaye ke SHAITAAN tumhe is Raaste se rok de. Yaqeen jaano wo Tumhara KHULAA Dushman hai
( Surah Zukhruf 62)

          Allah Ta’ala ne SHAITAAN ko Hamara Khulaa hua Dushman Apne Kalaam paak me bataya hai kayee baar bayan kiya aur uske Naqsh e Qadam ki pairwi karne se mana kiya. Lekin aj Hum apne Haqeeqi Dushman se Ghaafil hain aur Us ki jaane anjaane pairwi kar rahe hain. Hame chahye ke hum apne Haqeeqi Dushman ko pehchaane aur use bachen. Uske Naqshe Qadam par naa chalen.
Allah Ta’ala Hum sab ko SHAITAN ke makr o Fareb se bachaye.
Aameen.

Farhan Bajrai Shafa’ii

Tuesday, 3 September 2013

ZILHAJJ KE MAHEENE KI IMTIYAZI KHUSOOSIYAT O IBADAAT


Zilhajj ke maheene ki kuchh khusoosiyaat hain aur kuchh aisii ibadaat is maheene me muqarrar farmayee gayeen hain jo saare saal me adaa nahin ki saktin jab keh dusri ibadaton ka haal yeh hai keh woh waqt e moqarrarah me to adaa ki hi jayen gi ,lekin agar woh waqt e moqarrarah k alawah nafli taur par adaa ki jayen to aisa kiya ja sakta hai maslan farz namaz ke paanch auqaat muqarrar hain lekin agar nafli taur par koi shakhs ada karna chahe to kar sakta hai. zakaat saal me ek martabah farz hai lekin nafli sadqah aam dino me bhi diya ja sakta hai. balkeh karna chahiye. Aise hi roze hain keh saal bhar me sirf ramzaan k maheene me farz hain baqi nafli roze rakhe ja sakte hain lekin Zilhajja k maheene me do 2 ibadaten aisii hain jo is maheene k
makhsoos ayyam ke ilawah kisi aur din adaa nahin ki jasakteen. Ek to hajj ki Ibadat aur doosrey Qurbani ki Ibadat.
 HAJ SE MUTA’ALLIQ AHKAMAAT :-

 Haj Zillhajjah ki muta'ayyin tareekhon hi me adaa kiya ja sakta hai Warna Arafat ka maidaan to aaj bhi waise hi apni aaghosh khole hue hai aur Mina me Jamraat to aaj bhi maujood hain. Lekin agar aaj koi shakhs Arafat me ek din nahin do din bhi wuqoof  kare to Allah Ta'ala ke yahan is ki Koi Qadr o Qeemat nahi aur agar koi 9 Zillhajjah ko Maidan e Arafat me pahunch jaye ya 10 Zillhajjah ki Raat ko pahunch jaye to uska Hajj ho gaya. Allah ki Rahmat ka saya us maidaan me aisa phaila hua hai ke Shaitaan poorey saal me is din se zyada kisi aur din me ruswa nahin hota aur wuqoof  me yeh bhi zaroori nahi ke poora din wuqoof kiya jaye balkeh agar koi shakhs is din ek minute k liye bhi pahunch jaye to uska Hajj ho gaya hatta keh agar koi sota hua bhi guzar jaye to uska Hajj bhi adaa ho jayega lekin agar yahi Ibaadat saal ke doosray dinon me ki jaye to uski koi qadr o qeemat nahi