Tuesday, 22 October 2013

EK MUSALMAN KIS TARAH ZINDAGI GUZARE -->2

Deen e Islaam ! Aqaid , Ibadaat, A’maal e Saaliha , AKhlaaq e Hasana aur Aadaab e Aaliyah ka naam hai. Jab koi shakhs Islaam Qabool karle aur yun kahe ke Mai Musalman hun us par Laazim hai ke Poore Islaam ko Qabool kare.

3.    Apni Namazen Durust karen Saheeh Tareeqe par yaad karen aur Bachon ko bhi Saheeh Tareeqe par Namazen Sikhayen aur yaad karayen. س، ث ، ص ، ض ، ط ،ظ ، ق ،ک tamam Huroof ko Saheeh tareeqe par Ada karna Laazim hai. Bhot se logon ko Zindagi bhar Saheeh Kalimah bhi Yaad nahi hota aur Namazen bhi Ghalat Salat padhte hain isme Aakhirat ka bada Khasaara hai.

4.    Bachchon ko Namazen Sikhane ke bare me Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshaad farmaya ke Apni Aulaad ko Namaz ka Hukum do jab wo 7 Baras ke hojayen , aur Namaz na padhen par unko maaro jab wo 10 Baras ke hojayen aur 10 Baras ki Umar hojane par Unke Bister Alaihda kardo (ek Doosre ke sath na Silaao)
(Mishkaatul Masabeeh safha 58)


5.     Namaz e Jumu’aa ka Khaas Ahtemam karen
Quran e Majeed me irshad hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَى ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ ذَلِكُمْ خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ
Tarjuma: Aye Imaan Walo! Jab Jumu’aa ke Din Namaz ke liye Pukara jaye to Allah ke Zikr ki taraf rawana hojaya karo aur Khareed o Farokht ko chord do ye tumhare liye Behter hai agar tum jante ho.(Surah Jumuaa’ Ayat 9)
          Aur Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmay ke Jisne Baghiar Majboori ke Jumu’aa chord diya wo Aisi Kitab me Munafiq likh diya gaya jo na mitegi na badli jayegi.
 (Mishkaatul Masabeeh 121)
          Agar kabhi Namaz e Jumu’aa reh jaye maslan Safar me ho ya Marz ki wajeh se na padh sake to uski jagah Zohar padhe aur Agar Qasdan Namaz e Jumu’aa Chord de to uski jagah bhi Namaz e Zohar padhe.


Monday, 21 October 2013

EK MUSALMAN KIS TARAH ZINDAGI GUZARE --> 1

EK MUSALMAN KIS TARAH ZINDAGI GUZARE
Deen e Islaam ! Aqaid , Ibadaat, A’maal e Saaliha , AKhlaaq e Hasana aur Aadaab e Aaliyah ka naam hai. Jab koi shakhs Islaam Qabool karle aur yun kahe ke Mai Musalman hun us par Laazim hai ke Poore Islaam ko Qabool kare. Surah Baqara (Ayat No 208)me Allah Ta’ala ne farmaya hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا ادْخُلُوا فِي السِّلْمِ كَافَّةً وَلَا تَتَّبِعُوا خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ
Tarjuma: “Aye Imaan walo! Islaam me Poore poore Daakhil hojao aur Shaitaan ke Qadmon ke peeche na chalo beshak wo Tumhara Khulaa Dushman hai.”
          Aj kal Logon ne ye Tareekha nikala hai ke Musalman hone ka Daawa bhi hai lekin Islaam ke Arkaan aur A’maal aur Akhlaaq aur Aadaat se Ghaflat bhi baratte hain aur Peeche bhi hatte hain. Daawa kuch aur Amal kuch, ye MOMIN ki Shaan nahi hai. Jab Musalman hogaye to poori tarah Islaam par Amal karna Laazim hai Aammatul Muslimeen ko Zaroori baaten  batane ke liye ye Mazmoon likh raha hun is mazmoon ko aapas me ek doosre ko Sunayen aur Amal par amadah karen.
1.     Islami Aqaid seekhe, Ahle Sunnat Wal Jamaat ke Aqaiad maloom karen aur Unhe apna Aqeedah banayen jitney Gumrah Firqe hain maslan Shiya , Qadiyani, Aagha Khaani, Bohri in sab se door rahen aur Bid’aat se Mukammil parhez karen.
2.     2. Har Aaqil baaligh Musalman par Mard ho ya Aurat 5 Namazen(FAJR, ZOHAR, ASAR, MAGHRIB, ISHA) Farz hain. Inko Ghar par hote hue aur Safar me, Marz me, Tijarat karte hue, Naukri me lagey hue har haal me adaa kare, Witr ki Namaz Isha ke Farzon ke baad padhna wajib hai isko bhi kabhi Qazaa na hone den. Aurten Gharon me aur Mard Masjidon me Jamaat ke sath Namaz padhen.
Jamat ke sath Namaz padhen se ek Namaz ka sawaab 27 guna(times) kardiya jata hai.(MISHKAATUL MASABEEH SAFHA 95)
Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke Jisne Namaz ki pabandi ki uske liye Qayamat ke din Namaz noor hogi aur Uske Imaan ki Daleel aur Uski Najaat ka samaan hogi aur jisne Namaz ki pabandi nahi ki uske Liye Namaz na Noor hogi na uske Imaan ki Daleel hogi na Najaat ka samaan hogi aur Qayaamat ke Roz ye Shakhs Qaaroon aur Firaon aur (uske Wazeer ) Haaman aur (Mashhoor Mushrik) Ubai Bin Khalf ke sath hoga(Mishkaatul Masabeeh safha 58)
Witron ke bare me Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya hai ke WITR padhna Zaroori hai. Jo Shakhs Witr na padhe wo Hum me se nahi hia (teen baar aisa hi farmaye)
(Mishkaatul Masabeeh safha 113)
Aur Muakkadah Sunnaton ke bare me farmaya jisne Din Raat me 12 Rakaten padhlin uske liye Jannat me ek Ghar bana diya jayega, 4 Rakaten Zohar se pehle , 2 Rakaten Zohar ke baad, 2 Rakaten Maghrib ke baad , 2 Rakaten Ishaa ke baad aur 2 Rakaten Fajar se pehle.
(Mishkaatul Masabeeh safha103)
Inke Ilawa Asar se pehle 4 Rakat Sunnat e Ghair Muakkadah hain unki badi Fazeelat hai. Ek Hadees me yun hai ke Allah Us bande par Rahem kare jo Asar se pehle 4 Rakaten padhe.
(Mishkaatul Masabeeh safha 104)
Nafil namazon ki bhi badi Ahmiyat hai jin me Namaz TAHIYYATUL WUZOO’ , TAHIYYATUL MASJID, ISHRAAQ , CHAASHT, TAHAJJUD aur MAGHRIB ke baad ki Nafilen bhi aajati hain. Nafil Namazon ka Zakheera bhi Sath lekar jana chahye.
Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke Din sab se pehle Namaz ka HIsab hoga , Namaz theek nikli to Kaamiyaab o baa muraad hoga aur Namaz Kharab nikli to Mehroom aur Na Muraad hoga, phir agar Faraiz me Kuch kami reh gayi to Parwadigaar e Alaam ka farmaan hoga ke Dekho Kya Mere Bandey ke kuch Nawaafil bhi hain. Phir Nawaafil ke Zarye Faraiz ki Kamii poori ki jayegi. Phir Zakaat ka bhi isi tarah Hisaab hga. Phir Doosre aamaal ka bhi isi tarah Hisaab hoge.

(Mishkaatul Masabeeh safha 117)

Saturday, 12 October 2013

KHUTBA E HAJJATULWADAA'

KHAATIMUN NABIYYEN SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA KHUTBA HAJJATUL WADAA’
        Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Allah Ta’ala ki Hamd o Sana aur Apni Nabuwwat aur Risalat ki Gawahi dene ke baad Taqwaa ikhtyar karne ki wasaiyyat farmayi aur Apni Rehlat ke Qurb ki taraf ishara farmate hue irshad farmaya
        1. “Logon ! Mai Khayal karta  hun ke Mai aur tum phir kabhi is Majlis me ikatthe nahi honge.
        Musalmano me bahmi Mohabbat aur Ulfat aur ek Doosre ki Izzat o Aabroo aur Jaan o Maal ki Hifazat ke bare me Takeed farmate hue irshad farmaya:
        2. Logo! Tumhare khoon , tumhare maal aur Tumhari Izzaten ek Doosre par aise hi Haraam hain jaisa ke tum Aj ke din ki, Is Shahar ki, is Mahine ki Hurmat karte ho. Logo! Tumhe Anqareeb Allah ke samne Haazir hona hai aur wo Tum se tumhare aamaal ki babat sawal farmayega. Khabardaar! Mere baad Gumrah na ban jana ke ek Doosre ki Gardanen kaatne lago.
        Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Silsilaye kalaam ko jaari rakhte hue tamam Jaahili Qawaneen aur Jahiliyat ke Iqtesadi Nizaam ko Khatm karne ka Aelaan in alfaaz me farmaya.
        3. Logo! Jaahiliyat ki Har ek Baat mai apne Qadmon ke neeche Paamaal karta hun. Jahiliyat ke Qatlon ke tamam Jhagde malyamet karta hun. Pehle Khoon jo mere Khandaan ka hai yani IBN E Rabee’a Bin Haris ka Khoon jo Bani Sa’ad me doodh peeta tha aur Huzail ne use mar dala tha mai Chordta hun . jahiliyat ke zamane ka Sood malyamet kar diya gaya. Pehle Sood apne Khandaan ka jo Mai mitata hun wo Abbas Bin Abdul Muttalib ka Sood hai wo Saare ka saara chord diya gaya.
        Aurton ke sath Bhalai aur Khoobi ka bartao karne aur Zulm o Ziyadti se rokte  hue irshad farmaya
        4. “Logo! Apni Biwiyon ke mutalliq Allah se darte raho. Khuda ke naam ki Zimmedari se tum ne Unko Biwi banaya aur Khuda ke kalaam se tumne Unka Jism apne liye Halal banaya hai. Tumhara Haq Aurton par itna hai ke wo Tumhare Bistar par kisi Ghair ko (ke uska aana tumko nagawaar hai) na aane  den. Lekin agar wo aisa karen to unko aisi maar maro jo namoodar na ho. Aurton  ka haq tum par ye hai ke tum unko achi tarah khilaao ,achi tarah pehnao.
        Quran e Majeed ko Sarchashma e Hidayat qarar dete hue aur apni Ummat ko Sirf Allah Ta’ala ki Ibadat , Namaz ki pabandi, Zakat aur Fareeza e haj ki adaaigi aur Auliya e Umoor o Hukkaam ki Ita’at ka hokum dete hue farmaya:
        5. “Logo ! Mai  tum me wo cheez Chord chala hun ke agar use mazboot pakad loge to kabhi Gumrah na hoge wo Quran Allah ki Kitab hai.
6. “Logon! Na to mere baad koi paighambar hai aur na koi Jadeed(new) Ummat paida hone wali hia , Sun lo ke Apne parwardigar ki Ibadat karo aur panjgana Namaz ada karo. Saal bhar me ek mahine ke Roze rakho. Apne Maalon ki zakat nihayat dili Khushi ke sath diya karo. Khaana e Ka’bah ka Haj baja laao aur apne Auliya e Umoor o Hukkam ki ita’at karo jis ki Jaza ye hai ke Tum log ye baja laa kar parwardigar ke Firdaus e Barreen(Jannat) me daakhil hoge.”
        Aur Aakhir me Apni Ummat ko gawah banate hue irshad farmaya:
        7. “Logo! Qayamat ke Din tum se meri Babat bhi daryaft kiya jayega. Mujhe zara batado ke tum kya jawab doge.
        Sab ne kaha:
“Hum iski Shahadat dete hain ke Ap ne Allah ke ahkaam hum tak pohancha diye. Ap sallallahu alaihi wasallam ne Risalat o Nabuwwat ka Haq ada kar diya. Ap sallallahu alaihi wasallam ne Hum ko Khotey aur Khare ki babat achi tarah bata diya.(us waqt) Nabi sallallahu alaihi wasallam ne apni Ungusht e Shahadat ko uthaya.
Asmaan ki taraf Ungli uthate the aur phir logon ki taraf Jhukate the, (farmate the)
اللَّهُمَّ اشْهَدْ اللَّهُمَّ اشْهَدْ اللَّهُمَّ اشْهَدْ
Aye Allah! Sunle(tere bande kya keh rahe hain) Aye Allah gawah rehna ke (ye log kya keh rahe hain)
Aye Allah Shaahid reh ke (ye sab kaise saaf iqrar kar rahe hain).”
        8.“Dekho jo log maujood hain wo un logon ko jo Maujood nahi hain inki tableegh karte rahen mumkin hai ke Baaz Saamiyeen se wo Log Ziyada tar is kalaam ko yaad rakhen aur Hifazat karne wale hon jin pat Tableegh ki jaye.”
        ITMAAM E NEMAT KA AELAAN
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Is Azeem Khutbe ko Sunne walon ki tadad ek laakh se ziada thi. Ap sallallahu alaihi wasallam ne Apni Oontni QASWAA’ par sawar hokar Mandirjeh Baala Khutba diya aur uske baad usi jagah ye Ayat e Mubarakah Naazil hui.
الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًا
(سورة المائدة آيت 3)
Tarjuma: Aj Maine tumhare deen ko Tumhare liye kaamil kardiya aur tum par apni Nemat ko poora kardiya aur maine Tumhare liye Islaam ko bataur e Deen pasand karliya."
(SEERAT SARWAR E KAUNAIN)
ALLAHU AKBAR!
MERE MUSALMAN BHAIYYON IN YE IJTMAI NASEEHATEN HAMARE PYARE NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI UMMAT KE NAAM AAKHRI NASEEHATEN HAIN.
IN GHAUR SE PADHO AUR IN PAR KUCH DER GHAUR KARO AUR APNI ZINDAGI ME LAANE KI KOSHISH KARO.
SEERAT KI KUTUB ME AUR TAFSEEL MILEGI WAHAN BHI PADHO YE AYYAAM E HAJ HAME PAIGHAAM DE RAHE HAIN KE HAJJATUL WADAA’ KI NASEEHATEN HUM APNI ZINDAGI ME LAAYEN.
AJ AHED KARLO KE MAI IN NASEEHATON PAR AMAL KARUNGA YE MERE PYARE NABI KI NASEEHATEN HAIN.

ALLAH TA’ALA HUM SAB KO IN PAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE AUR ZINDAGI SUNNAT KE MUTABIQ GUZARNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE.

AAMEEN YA RABBAL AALAMEEN.

Monday, 7 October 2013

ZilHijjah Ke Maheene Ke Ahkamaat 3

ASHRAH ZILHIJJAH KE BAARE ME TEESRA HUKM :-
Teesra hukm Arafa ke din se mutalliq hia. Yun  to in dino me Roza rakhna badi fazeelat ka hamil hai. lekin khaas taur par Arafah 9 zillHajjah ka din ka roza rakhna ek saal agle aur ek saal pichle gunahon ki maghfirat ka sabab banta hai.
 Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ka irshaad hai keh Yaum e Arafah ko jo shakhs Rozah rakhega mujhe ummeed hai us ke ek saal pichle aur ek saal agle gunahon ka kaffarah ho jaye ga ( Bab E Siyam Yaum e Arafah Ibn E Majah )
 TAKBEER E TASHREEQ :-
In ayyam me teesra hukm takbeer e TASHREEQ hai . jo yaom e Arafah se shuru ho kar 13 zillHajjah ki Asr tak jaree rahti hai . Yeh takbeer har farz namaz ke ba'ad ek martabah padhna wajib qarar diya gaya hai
Allahu Akbar , Allahu Akbar la Ilaha Illallah
 Wallahu Akbar, Allahu Akabr walillahil Hamd
Mardo ke liye darmiyani buland awaaz se padhna wajib hai aur aahista padhna khilaaf e sunnat hai
(Musnaf Ibn Abi Shaibah)
KHWATEEN KE LIYE TAKBEER E TASHREEQ :-

yeh takbeer khawateen par bhi wajib hai .Albattah iss bare me aam taur par badi kotaahi hoti hai. aur khawateen ko yeh takbeer yaad nahin rahti aur umooman Khawateen isko nahi padhtiin. Magar yaad rakhen ! Aurton par bhi 5 Dinon tak har Namaz ke baad ye Takbeer kehna wajib hai. Lekin Khawateen ko ahista aawaaz se  padhni chahye.

ZilHijjah Ke Maheene Ke Ahkamaat 2

Yaum E Arafah Ka Roza :-
Ashr e Zil Hajjah ke baare me doosra hukm yeh diya gaya hai keh Yakum Zill Hajjah se nau (1-9) ZilHijjah tak jo ke Ramzanul Mubarak ke ba'ad aisa Ashrah hai jis ki bhot ziada khusoosiyaat hain. jis k baare me Nabi Akram Sallallaho Alaihe Wasallam ne farmaya keh in dino me roza rakhna ek saal ke roze rakhne ke barabar hai aur ek raat ki ibadat lailatulQadr ki ibadat k barabar hai. (ibn Maja aur Tirmizi)

Shuru me jo aayat me ne telawat ki us me Allah Ta'ala ne fajr ke waqt ki aur dass raton ki qasam khayee hai. وَالْفَجْرِ (1) وَلَيَالٍ عَشْرٍ is bare me mufassireen ki ek badee jama'at ne likha hai keh is se muraad ZillHajja ki dass raaten hain , jis me Allah ne ibaadat ko Lail atul Qadr ki ibadat ke bararbar rakha hai. Allah ta'ala ham sab ko in auqaat se fayeda uthane ki taufeeque ata farmayen aur us ki barkaat se nawazen. Aameen 

ZilHijjah Ke Maheene Ke Ahkamaat 1

ZilHijjah Ke Maheene Ke Ahkamaat :-
Islaam me is maheene se muta'alliq kuchh khusoosi Ahkaam hain. Sab se pehla hukm jo ZilHajjah ka chand dekhte hi ahl e Islaam ko diya gaya woh yeh hai keh Jis shakhs ne is maheene me qurbani karni hai to woh na baal kate aur na nakhun kaate .Iss liye keh hadees me hai keh Nabi Akram Sarwar e Do Aalam Sallallaho Alaihe Wasallam ne Irshaad farmaya keh ZillHajjah ka chaand dekhne ke ba'ad na baal kate jayen aur na nakhun . Iss hukm ko ba'az hazraat ne mustahab aur ba'az ne wajib kaha hai.Bahar haal hukm hai ,iss liye iss par amal karna chahiye
Baal Aur Nakhun Na Kaatne Ki Ahmiyat:- Hamare nazdeek Hakeemul Ummat Qaddasallahu Sirrahu ne farmaya keh iss me hikmat yeh hai keh Choon keh yeh woh zamana hai jis me charon taraf se log khinch khinch kar Hajj karne ke liye Baitullah ki taraf ja rahe hain.Aisa lagta hai keh Baitullah me koi maqnatees laga hua hai jo charon taraf se logon ko kheench raha hai aur Hazrat Ibraheem A.S . ki dua poori ho rahi hai keh ap ne farmaya
فَاجْعَلْ أَفْئِدَةً مِنَ النَّاسِ تَهْوِي إِلَيْهِمْ
(14:37)
 “Aye Allah logon ke dilon ko aisa bana dijiye keh log is ki taraf kheench kheench kar aayen”
 lekin bahut se log aise bhi hain jo hajj to karna chahte hain magar us ke liye wasail muhayya nahin , ya koi aur majboori hai. Hamare hazrat farmate the keh Allah Ta'ala un logon ko jo paise ki kami ki wajah se hajj nahin kar sake, kya un ko hajj ki barkat se mahroom farma den ge ? Allah ta'ala ki shaan e Raheemi se yeh bahut baeed hai keh kisi aadmi ko sirf paise na hone ki wajah se mahroom farmaa den.
Chunancheh Allah Ta'ala ne ek chota sa amal batla diya keh tumhen hajj ko jane walon ki thodi si mushabehat ikhtyar karni pade gi ,woh yeh keh jaise Haji hazraat baal aur Nakhun nahin kaatte to tum bhi yeh mushabehat ikhtyaar karlo aur baal aur nakhun na kaato jab tum ne mushabehat paida karli to is tarah un hajiyon se apna rishta jod liya . Lihaaza  jab Allah Ta'ala Arafaat ke maidaan me hajiyon par rahmat ki baarish barsayen ge, to us ka chheenta tum tak zaroor pahunchega
TERE MAHBOOB KI YA RAB SHABAHAT LE KAR AAYA HOON
HAQEEQAT IS KO TU KAR DE ME SOORAT LE KE AAYA HOON


Hazrat farmate hain keh yeh jo kaha ja raha hai keh baal aur nakhun na kato to dar haqeeqat kahne ka maqsad yeh hai keh Aye Allah me wahan tak to na pahunch saka , lekin jaane walon ke saath thodi si mushabehat paida kar li hai to kya me sirf is wajah se mahroom rah jaoonga keh mere paas paise nahin hain. Allah Ta'ala farmate hain Nahin ,Hamari shaan e Raheemi tumhen mahroom nahin kar sakti, jab tum ne mushabehat paida kar li to tum bhi Allah ki rahmaton me zaroor shaamil ho ge. 

HUKM E ILAAHI KI AHMIYAT AUR AZMAT

HUKM E ILAAHI KI AHMIYAT AUR AZMAT :-
Ba'az Hindu ya Butt parast eteraaz karte hain keh aap hamen to pattharon ki parastish se mana'a karte hain aur khud Baitullah ki taraf munh kar ke Sajdah karte ho goya un ki ibadat karte ho, to hum me aur tum me kya farq hai ? To Allah jall e shaanahu ne ibtedaye Islam me yeh nazarah dikha diya keh achanak hukm aagaya keh Baitullah ki bajaye baitul Maqdas ki taraf rukh kar ke namaz padho. chunanche Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam aur Sahabah e kiraam ne 17 maheene Baitullah ki bajaye Baitul Maqdas ki taraf rukh kar ke namaz padhi Halaankeh Huzoor Sallallahu Alaihi wasallam ka dil chahta tha keh Qiblah Baitullah ho Is ki hikmat Allah Ta'ala ne doosray pare me bayan farmayi :
سَيَقُولُ السُّفَهَاءُ مِنَ النَّاسِ مَا وَلَّاهُمْ عَنْ قِبْلَتِهِمُ الَّتِي كَانُوا عَلَيْهَا قُلْ لِلَّهِ الْمَشْرِقُ وَالْمَغْرِبُ(سورة البقره 142)
Maqsad yeh hai keh Baitullah ke patharon me kuch nahin rakha haan Mashriq o Maghrib me jo kuchh hai woh Allah ke qabze me hai.
مَنْ يَتَّبِعُ الرَّسُولَ مِمَّنْ يَنْقَلِبُ عَلَى عَقِبَيْهِ
 (para 2 surahalBaqra Ayat no. 143 )
“kaun paighambar ka tabe'a rahta hai aur kaun ulte paaon phir jata hai "
Hazrat Farooq E Aazam ka Hajr e Aswad Ko Khitaab :-

Chunancheh Hazrat Farooque Aazam R.A Hajr e Aswad ko Bosa dene k liye gaye to bosa dene se pahle Hajr e Aswad se khitab kiya ke “Aye Hajr e Aswad me janta hoon keh tu ek pather hai na koi nafa'a pahunchana tere Qabze me hai aur na koi nuqsaan pahunchana tere bass me hai Lekin agar me ne apni aankhon se Nabi e Akram Sallallaho Alaihe wasallam ko tera bosa lete na dekha hota to me tujhe kabhi bosa na deta . Yeh Nabi Akram sallallaho Alaihe Wasallam ki sunnat hone ki wajah se mojib e ajar o sawab hai Teri zaat me koi taqaddus nahin.” Yahi wajah hai keh ba'az log rukn e Yamani ka bhi bosa le lete hain.Ulama e kiraam ne likha hai ke aisa karna durust nahin hai, kiyon keh yeh amal Janab e Rasool Allah Sallallaho Alaihe Wasallam se sabit nahin. To jis kaam ke liye Allah Ta'ala ne in 2 ebadaton ko in ayyam ke saath makhsoos kiya ke in ayyam me agar woh ebadaten sar anjaam do ge to hamare nazdeek mustahiq e ajr o sawaab ho ge aur agar is se hat kar karo ge to us ki koi qadr o qeemat nahin. Yeh khusoosiyat Allah ne sirf isee maheene ko ataa farmaayee hai .

Thursday, 3 October 2013

HAJJATUL WADA'AA ==>1

BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM
NAHMADUHU WA NUSALLAI ALAA RASOOLIL KAREEM
HAJJATUL WADAA’ 10 HIJRI
Haj ki Farziyat kis saal hui ? Isme Mukhtalif Aqwaal hain. Imam Azam Abu Haneefah rahmatullahi alaih ne  10 Hijri me haj ki Farziyat wale Qaul ko Tarjeeh di hai ke Agar isse Qabl farz hota to Huzoor sallallahu alaihi wasallam uski adaaigi me Taakheer na farmate. Imam Ibne Qayyim rah ne isi Qaul ko tarjeeh di hai.(ZAADUL MUAAD 3/595)
Haj Par Rawangi Ke Liye Aelaan E Aam:-
          Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 10 Hijri me Safar e Haj ka irada farmaya aur aam Aelaan kara diya. Madine ke Atraaf se bhi Jaanisaron ke aafile Ap sallallahu alaihi wasallam ki Rifaqt me Haj karne ke liye Madina Tayyibah pohancha gaye. Unki Ta’dad bhot Ziada thi. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Rawangi se Qabl Madina Tayyiba ke intezaami Umoor Hazrat Abu Dujana Saa’adi razi Allahu anhu ko Qayem Maqaam muqarrar farmaya. Ek riwayat me Hazrat Sibaa’ Bin ‘Urfatah razi Allahu anhu ka naam aaya hai.(Seerat Ibne Hisham 4/23)
Madine Tayyibah se Rawangi:-
          25 Zil Qaedah 10 Hijri ko Huzoor sallallahu alaihi wasallam Madine Tayyibah se HAJ ke safar par rawana hue. Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu anhuma farmate hain ke Jab Ap sallallahu alaihi wasallam rawana hue to Zii Qaedah ke 5 Din Baaqi the.(Bukhari Shareef)
          Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Namaz e Zohr ki 4 Rak’aat Madine Tayyibah me ada farmayi. Phir Ap sallallahu alaihi wasallam ne baalonko sanwara, tel lagaya.
Zul Hulaifah  me Qiyaam :-
          Zohar o Asar ke darmiyan Ap sallallahu alaihi wasallam Madine Tayyibah se rawana hue . Zul Hulaifah (jisko Abyaar e A’alaa kaha jata hai) pohanch kar Namaz e Asar Qasran yani 2 Rak’aat ada farmayi. Phir wahin Qiyaam farmaya aur raat ko bhi wahin muqeem rahe(Bukhari Shareef 1/190, Zaadul Muaad 2/106)
          Ap sallallahu alaihi wasallam ne Maghrib aur Ishaa aur agle din ki Fajar o Zohar ki namazen bhi Zul Hulaifah me hi ada farmayin is safar me tamam Azwaaj e Mutahahraat razi Allahu anhunna bhi Ap sallallahu alaihi wasallam ke sath thin.
Ahraam ke liye Ghusl :-
          Jame’ Tirmizi me hai ke Jab Ap sallallahu alaihi wasallam ne Ahraam baandhne ka iradah farmaya to GHUSL kiya.(Tirmizi Baab Maa Jaa’aa fi ightisaali indal Ihraam) Jab Ap sallallahu alaihi wasallam ne GHUSL farma liya to Hazrat Ayesha razi Allahu anha ne Ap sallallahu alaihi wasallam ke Jism Mubarak aur Sar par KHUSHBOO lagayi jiska Asar Ap sallallahu alaihi wasallam ke Sar ke Baalon aur Dadhi Mubarak par nazar aaraha tha, ye Khushboo MUSHK aur Zareerah thi.(MUSLIM, BAIHAQI)
QURABANI KE JANWARON PAR ALAMAT LAGANA:-
          Is ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne HADII ke Janwaron ke gallon me Qalladey dale, Oonton ki Kohanon ko daayen jaanib se zarasa Shaq kar ke jo Khoon nikla wahin mal diya jisko ASH’AAR kehte hain yani is baat ki alamat ke ye Qurbani ke janwar hain.(Saheeh Muslim baab Taqleedul hadii wa Ash’aarihi Indal Ihraam)
AHRAAM AUR TALBIYAH:-
          Uske baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 2Rak’aat Ahraam ke nafil ada farmaye.(ZARQANI 145/8)
Uske baad Ap apni sawari par baithe aur Qible ki taraf rukh kar ke TALBIYAH padha jiske alfaz mandarjah zail hain:
لبيك اللهم لبيك، لبيك لا شريك لك لبيك، اِن الحمد والنعمة لك والملك لا شريك لك
LABBAIK ALLAHUMMA LABBAIK , LABBAIK LAA SHAREEKA LAKA LABBAIK , INNAL HAMDA WAN NI’MATA LAKA WAL MULKA LAA SHAREEKA LAK.
(BUKHARI O NASAI BAAB KAIFIYATUT TALBIYAH)
Tarjuma:-
Mai Haazir hun Aye Allah ! Mai Haazir hun, tera koi Shareek nahi mai Teri baargah me Haazir hun, Beshak Tamam tareefen tere hi liye hain , Nemat aur badshahat bhi Teri hai Tera koi Shareek nahi.
        Zara TALBIYAH ke Alfaaz o Ma’aani par ghaur karen to maloom hota hia ke Insan TAUHEED ke Samundar me Ghauta laga raha hai. Ap sallallahu alaihi wasallam ne Buland Awaaz se TALBIYAH padha aur Sahaba razi Allahu anhum ko bhi yahi Hukum farmaya ke Talbiyah Oonchi Awaaz se padhen. Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam ne Ahraam ke Nafil  ke Baad TALBIYAH padha. Phir sawari par Baith kar bhi Talbiyah padha. Phir jab Ap sallallahu alaihi wasallam rawana hue aur Maqaam BAIDAA’ par pohanche to Ap sallallahu alaihi wasallam ne TALBIYAH padha. Riwayat karne wale Sahaba me se jisne Jis waqt Ap sallallahu alaihi wasallam ki Zubaan Mubarak se Talbiyah Shuna usko naqal kardiya. Ahle Ilm ne ye Tafseel likhi hai.

Sunday, 15 September 2013

Mujhe ZINAA ki Ijazat dijye

Hazrat Abu Umamah Razi Allahu anhu se marwi hai:

Ek Naujawan Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki Khidmat me Haazir hua. Us Naujawan ne Arz kiya:
“Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam Mujhe ZINAA ki Ijazat dijye”
Ispar Haazireen e Majlis usey Bura Bhala kehne aur Khamoosh karane lagey, Lekin Ap sallallahu alaihi wasallam ne use Qareeb aane ke liye kaha , Chunanche wo Ap sallallahu alaihi wasallam ke Qareeb aakar baith gaya. Huzoor sallallahu alaihi wasallam aur uske Darmiyan darj e zail Mukaalma hua:
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Kya Tum ye baat apni Waledah ke liya pasand karte ho?
Naujawan: meri Jaan Ap par Qurban. Khuda ki Qasam nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi Apni Maaon ke liye ye Baat pasand nahi karte.
Kya Ye baat Tum apni BETI ke liye pasand karte ho?
Naujawan: Ya Rasoolallah s.a.w! Meri Jaan Ap par Qurban ho. Hargiz nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi Apni Betiyon ke liye Ye baat pasand nahi karte.
Kya Tumhe Ye baat Apni Bahen ke liye pasand hia?
Naujawan: Meri Jaan Ap par Fida ho . khuda ki Qasam Hargiz nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi apni Behno ke liye Ye baat pasand nahi karte.
Kya tum ye baat apni Phoophi ke liye pasand karte ho?
Naujawaan: Meri Jaan ap par Qurban. Khuda ki Qasam ! Hargiz nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi apni Phoophiyon  ke liye Ye baat pasand nahi karte.
Kya tum ye baat apni KHAALA ke liye pasand karte ho?
Naujawan: meri Jaan Ap par Fida. Khuda ki Qasam ! Hargiz nahi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam: Doosre Log bhi apni Khaalaaon  ke liye Ye baat pasand nahi karte.
Uske baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne unke Seene par apna Dast Mubarak rakha aur Dua farmayi:
          “Aye Allah is ke Gunah maaf farmadijye, iske Dil ko PAAK kardijye aur iski SHARMGAAH ki Hifazat farmayye.”
Uske baad Wo Naujawan kisi Ghalat taraf Tawajjoh na karte the.
[MUSNAD AHMED HADEES NO 22211]



Sunday, 8 September 2013

MINA ME NAMAZ KA HUKM

Jin hazraat ko Hajj par jaane ka mauqa mila hai to woh jante hi hain aur jin ko haazri ka mauqa nahin mila , unhon ne bhi shayed suna hoga keh Haaji hazraat 8 Zillhajjah ko Makkah Mukarramah se rawana ho kar Mina chale jate hain. aur Mina me jane ke ba'ad koi kaam nahin .na Rami hai na Manasik e Hajj me se koi rukn adaa karna hai,balkeh Zohar se le kar agli fajr samet 5 Namazen Mina me adaa karo. Kitni achi baat thi keh Makkah Mukarramah me rah rahe the aur Namazen Masjid e Haram me padh rahe the keh jis me ek namaz padhne ka sawaab ek laakh (100000) Namazon ke sawaab ke barabar hai, Lekin hukm hua keh Masjid e Haram aur us me Namaz padh kar Ek laakh namazon ka sawaab chord kar Mina ki wadi me muqeem ho jao, jahan sirf 5 Namazen padhni hain. is se yeh SABAQ sikhana maqsood hai keh kaheen tumhare zahen me yeh baat na baith jaye keh Masjid e Haram ke patharon me kuchh rakha hai. balkeh jo kuchh hai woh hamare hukm aur hamare Nabi Hazrat Mohammed Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat me hai. Agar  koi shakhs kahe keh me ek laakh Namazon ka sawaab chord kar nahin ja sakta to ek lakh to kaja, ek namaz ka bhi sawab nahin mile ga . Isliye keh khilafe Sunnat kaam kar raha hai.

Friday, 6 September 2013

QURBANI KA HUKM



          Isi tarah Qurbani hai keh Allah Ta'ala ne saal bhar me teen din makhsoos farmaye hain. 10, 11, 12 ZillHajjah-- in teen dino ke ilawah agar aap qurbaani karna chahen to Allah Ta'ala ke yahan us ki koi qadr o qeemat nahin.  Kyu  keh Qurbaani naam hai kisee janwar ke gale par Allah ki raza ke liye chhuri pherna . Idhar aap ne janwar ke gale par chhuri pheri aur udhar Qurbani ka fareezah adaa hua. Lekin agar aap aaj qurbani karen to ek nahin ,100 janwar zubah karlen to woh qurbani ki ibaadat nahin hogi kyu keh yeh aisi Ibaadat hai jo Zillhajjah ke makhsoos ayyam ke ilawah adaa ki hi nahin ja sakti.. Asal sawab Allah ke Hukm aur Sunnat e Nabawee Sallallahu Alaihi wasallam me hai. Maqsad yeh hai keh kisee bhi amal me apni zaat me kuchh nahin rakha, jo kuchh hai Alalh ke hukm aur hamare Nabi e Akram Sallallahu Alaihi wasallam ki Sunnat me hai . Jab kisi bhi amal ke saath Allah Ta'ala ka hukm pewasta ho jaye to woh amal ibaadat ban jata hai aur moajjib e ajr o sawab ban jaye ga aur Allah Ta'ala ka hukm us se hat jaye to ab us ki koi qadr o qeemat nahi. Arafat ke maidan par Allah Ta'ala ki rahmaten nazil hoti hain aur wahan jakar wuqoof karne walon ko jo sawaab milta hai, woh dar haqeeqat is maidan ke zarrat ,pahadiyon, sehraa ki ret, aur un patharon ki wajahse nahin , balkeh jo kuch bhi ajr o sawaab hai woh sirf Allah ke hukm ka hai.. Allah Ta'ala ne farmaya keh 10,11 ,12,Zillhajjah ko janwar ke gale par chhuri pherna aur qurbaani karna moajjib e ajr o sawaab hai to aaj yeh amal Allah ka mehboob ban gaya, Aisa mehboob keh aaj ke din yani yaum un Nahr me khoon bahane ke alawah koi mehboob mashgilah nahin. Lekin wahi qurbani aam din me karte to uska koi nateejah nahin. Batlana dar haqeeqat yeh hai keh kisee bhi ibaadat me aur kisee bhi kaam me apni zaat me koi taqaddus nahin, taqaddus us waqt aata hai , jab Allah ka hukm ho, Goya yeh ek sabaq hai jis me bid 'at kharabi paida karti hai Bid’at us kaam ka naam hai jo aap az khood ghad kar ibadat bana len us ko na Allah ne ibadat qarar diya ho na Rasool Sallallahu alaihi wasallam ne.

Wednesday, 4 September 2013

HAMARA KHULA DUSHMAN


Aj ummat Maslaki Ikhtelaaf me ghiri hui hai aur Ek Doosre ko Apna Dushman samajh baithi hai aur hamare dimagh me bhi ayhi baat daali jaa rahi hai. Aj Musalman ek Doosre ko Khud ka Dushman samajh baithe hain aur apni Saari Salahiyaten isi me sarf kar rahe hain aur Haqeeqi Dushman ko Bhool gaye. Yahan Sirf Mai Quran e Kareem ki Chand aayaton se Batlana chah raha hu ke Hamara Haqeeqi Dushman kaun hai. Allah kare baat hamare samajh aajaye. (Aameen)
Allah Ta’ala ka Irshaad hai
Quran:
1.     Aye logo! Zameen me jo Halaal paakeezah cheezen hai wo Khaao aur SHAITAAN ke Naqsh e Qadam par na Chalo. Yaqeen Jaano ke wo Tumhare liye ek Khula Dushmna hai.
(Surah Baqara 168)
2.     Aye Imaan Walo ! Islaam me poore ke poore Daakhil ho jaao, aur SHAITAAN ke Naqsh e Qadam par na chalo. Yaqeen jaano wo tumhara Khula Dushman hai.
(Surah Baqara 208)
3.     Aur Chaupaayo me se Allah ne wo Jaanwar bhi paida kiye hain jo Bojh uthate hain aur wo bhi jo Zameen se lage hue hote hain. Allah ne jo Rizq tumhe diya hai usme se Khaao aur SHAITAN ke Naqshe Qadam par na chalo . yaqeen jaano wo Tumhare liye ek Khula Dushman hai.
(Surah An’aam 142)
4.     (Adam alaihis salaam aur Hawwa alaihas salam ka jannat ke mamnoo’aa darakht se istefada karne ka zikr karne ke baad farmaya) … aur Unke parwardigaar ne unhe aawaaz di ke: “Kya Maine Tum dono ko us Darakht se roka nahi tha, aur tum se ye nahi kaha tha ke SHAITAAN tum dono ka KHULAA DUSHMAN hai.”
(Surah A’raaf 22)
5.     (Hazrat yaqoob Alaihis Salaam ne Hazrat Yousuf  alaihis salam ko naseehat farmayi) Unho ne kaha: “Beta! Apna ye Khwab apne Bahiyon ko na batana kahin aisa na ho ke wo tumhare liye koi Sazish tayyar karen, kyu ke SHAITAAN Insaan ka Khula Dushman hai.”
(Surah yousuf 5)
6.     Aur wo Waqt Yaad karo, jab Humne Farishto se kaha tha ke :
“ Aadam ke aage SAJDA karo”. Chunanche Sab ne Sajda kiya siwaye IBLEES ke . wo Jinnaat me se tha, Chunanche usne apne RABB ke Hukum ki nafarmani ki. Kya phir bhi tum Mere bajaye usey aur Uski Zurriyat ko apna Rakhwala banate ho haalan ke Wo Sab Tumhare DUSHMAN hain? (Allah Ta’ala ka) kitna bura mutbaadil hai jo Zaalimon ko mila hai!.
(Surah Kahf 50)
7.     Yaad karo wo Waqt jab Humne Farishton se kaha tha ke Aadam ko Sajdah karo, chunanche Sab ne Sajdah kiya albatta IBLEES tha jisne Inkaar kiya. Chunanche Humne kaha ke : “Aye Adam ! ye tumhara aur tumhari BIWI ka DUSHMAN hai lihaza aisa na ho ke ye tum dono ko Jannat se nikalwa de aur tum mashaqqat me pad jaao.”
(surah Taaha 117)
8.     Aur (ek din) wo Shahar me aise waqt daakhil hue jab uske Baashindey Ghaflat me the to unho ne dekha ke wahan 2 Aadmi lad rahe hain , ek to unki apni Bradari ka tha aur Doosra unki Qaum ka. Ab jo Shakhs un ki Bradari ka tha usne Unhe unki Dushman Qaum ke aadmi ke muqabale me madad ke liye pukara, us par MOosa(alaihis salam) ne usko ek Mukka maara jis ne uska kaam tamam kar diya. (phir) unho ne (pachta kar) kaha ke: “Ye to Koi SHAITAAN ki Kaarwai hai. Haqeeqat ye hai ke woh ek khula Dushman hai jo Ghalat Raaste par daal deta hai.”
(Surah Qasas 15)
9.     Yaqeen jaano ke SHAITAANtumhara DUSHMAN hai, is liye Usko Dushman hi Samajhte raho. Wo to apne maanne walon ko jo Dawat deta hai wo isliye deta hai take Who Dozaq ke baasi ban jayen.
(Surah Faatir 6)
10.                        Aye Adam ke Beto ! Kya Maine tumhe ye Takeed nahi kardi thi ke Tum SHAITAN ki Ibadat na karna wo tumhara Khulaa  DUSHMAN hai.
(Surah yasseen 60)
11.                        Aur aisa hargiz na hone paaye ke SHAITAAN tumhe is Raaste se rok de. Yaqeen jaano wo Tumhara KHULAA Dushman hai
( Surah Zukhruf 62)

          Allah Ta’ala ne SHAITAAN ko Hamara Khulaa hua Dushman Apne Kalaam paak me bataya hai kayee baar bayan kiya aur uske Naqsh e Qadam ki pairwi karne se mana kiya. Lekin aj Hum apne Haqeeqi Dushman se Ghaafil hain aur Us ki jaane anjaane pairwi kar rahe hain. Hame chahye ke hum apne Haqeeqi Dushman ko pehchaane aur use bachen. Uske Naqshe Qadam par naa chalen.
Allah Ta’ala Hum sab ko SHAITAN ke makr o Fareb se bachaye.
Aameen.

Farhan Bajrai Shafa’ii