Jin hazraat ko Hajj par jaane ka mauqa mila hai to woh jante hi
hain aur jin ko haazri ka mauqa nahin mila , unhon ne bhi shayed suna hoga keh Haaji
hazraat 8 Zillhajjah ko Makkah Mukarramah se rawana ho kar Mina chale jate
hain. aur Mina me jane ke ba'ad koi kaam nahin .na Rami hai na Manasik e Hajj
me se koi rukn adaa karna hai,balkeh Zohar se le kar agli fajr samet 5 Namazen
Mina me adaa karo. Kitni achi baat thi keh Makkah Mukarramah me rah rahe the
aur Namazen Masjid e Haram me padh rahe the keh jis me ek namaz padhne ka
sawaab ek laakh (100000) Namazon ke sawaab ke barabar hai, Lekin hukm hua keh
Masjid e Haram aur us me Namaz padh kar Ek laakh namazon ka sawaab chord kar
Mina ki wadi me muqeem ho jao, jahan sirf 5 Namazen padhni hain. is se yeh SABAQ
sikhana maqsood hai keh kaheen tumhare zahen me yeh baat na baith jaye keh
Masjid e Haram ke patharon me kuchh rakha hai. balkeh jo kuchh hai woh hamare
hukm aur hamare Nabi Hazrat Mohammed Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat
me hai. Agar koi shakhs kahe keh me ek
laakh Namazon ka sawaab chord kar nahin ja sakta to ek lakh to kaja, ek namaz
ka bhi sawab nahin mile ga . Isliye keh khilafe Sunnat kaam kar raha hai.
No comments:
Post a Comment